zamane mein kahin dil ko lagana bhi zaruri tha
zamāne meñ kahīñ dil ko lagānā bhī zarūrī thā
ġhalat kuchh bhī nahīñ lekin chhupānā bhī zarūrī thā
ġham-e-daurāñ meñ ham ko muskurānā bhī zarūrī thā
ki kāñToñ se hameñ dāman bachānā bhī zarūrī thā
zamāna kyā kahegā ye nahīñ sochā kabhī ham ne
jo thā dil meñ hamāre vo batānā bhī zarūrī thā
hameñ patthar bhī khāne the hameñ gaalī bhī khānī thī
magar duniyā ko ā.īna dikhānā bhī zarūrī thā
hameñ hañste hue bas dekhtā to ruuTh jaatā vo
hameñ hañste hue aañsū bahānā bhī zarūrī thā
na ham so.e na vo so.e na aa.ī niiñd donoñ ko
magar jalte charāġhoñ ko bujhānā bhī zarūrī thā
zamane mein kahin dil ko lagana bhi zaruri tha
ghalat kuchh bhi nahin lekin chhupana bhi zaruri tha
gham-e-dauran mein hum ko muskurana bhi zaruri tha
ki kanTon se hamein daman bachana bhi zaruri tha
zamana kya kahega ye nahin socha kabhi hum ne
jo tha dil mein hamare wo batana bhi zaruri tha
hamein patthar bhi khane the hamein gali bhi khani thi
magar duniya ko aaina dikhana bhi zaruri tha
hamein hanste hue bas dekhta to ruTh jata wo
hamein hanste hue aansu bahana bhi zaruri tha
na hum soe na wo soe na aai nind donon ko
magar jalte charaghon ko bujhana bhi zaruri tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.