zamane mein kisi ke hath mein patthar nahin milta
zamāne meñ kisī ke haath meñ patthar nahīñ miltā
magar mahfūz koī jism koī sar nahīñ miltā
hai apne aap meñ simTā huā har shaḳhs duniyā meñ
koī khul kar nahīñ miltā koī hañs kar nahīñ miltā
sakūñ ke vāste har sū bhaTaktī phir rahī duniyā
davā ho kārgar jis kī vo chārāgar nahīñ miltā
gunah kitne kiye ahl-e-siyāsat ne magar phir bhī
koī ilzām ab tak to kisī ke sar nahīñ miltā
jahāñ par do ghaḌī 'parvez' ham ārām kar lete
tumhāre shahr meñ aisā koī bhī ghar nahīñ miltā
zamane mein kisi ke hath mein patthar nahin milta
magar mahfuz koi jism koi sar nahin milta
hai apne aap mein simTa hua har shaKHs duniya mein
koi khul kar nahin milta koi hans kar nahin milta
sakun ke waste har su bhaTakti phir rahi duniya
dawa ho kargar jis ki wo chaaragar nahin milta
gunah kitne kiye ahl-e-siyasat ne magar phir bhi
koi ilzam ab tak to kisi ke sar nahin milta
jahan par do ghaDi 'parwez' hum aaram kar lete
tumhaare shahr mein aisa koi bhi ghar nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.