zamane mein tera badal kuchh nahin hai
zamāne meñ terā badal kuchh nahīñ hai
tumhāre binā ye ġhazal kuchh nahīñ hai
na ghar vaale hī haiñ na pahra kisī kā
sanam ghar se bāhar nikal kuchh nahīñ hai
qasam jīne-marne kī thī saath meñ so
tumhāre binā possible kuchh nahīñ hai
bahut TuuT kar dard se ye kahā ki
badan chhoḌ kar ab nikal kuchh nahīñ hai
zamane mein tera badal kuchh nahin hai
tumhaare bina ye ghazal kuchh nahin hai
na ghar wale hi hain na pahra kisi ka
sanam ghar se bahar nikal kuchh nahin hai
qasam jine-marne ki thi sath mein so
tumhaare bina possible kuchh nahin hai
bahut TuT kar dard se ye kaha ki
badan chhoD kar ab nikal kuchh nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.