zamane par ayan mera hunar hone nahin deta
zamāne par 'ayāñ merā hunar hone nahīñ detā
na jaane kyoñ mujhe vo mo'tabar hone nahīñ detā
vo zālim apnī yādoñ se sadā ābād rakhtā hai
mire TuuTe hue dil ko khañDar hone nahīñ detā
ḳhudā ke fazl se paa.ī hai vo ehsās kī daulat
kisī bhī baat ko maiñ darguzar hone nahīñ detā
hamesha is adā se vo mirī imdād kartā hai
zarā bhī merī ġhairat ko ḳhabar hone nahīñ detā
koī mausam koī rut ho tasavvur us ke chehre kā
kisī jalve ko mahbūb-e-nazar hone nahīñ detā
tū mujh se us kī yādoñ kā asāsa chhīn le yārab
ye merī ḳhvāhishoñ ko muḳhtasar hone nahīñ detā
zamane par 'ayan mera hunar hone nahin deta
na jaane kyon mujhe wo mo'tabar hone nahin deta
wo zalim apni yaadon se sada aabaad rakhta hai
mere TuTe hue dil ko khanDar hone nahin deta
KHuda ke fazl se pai hai wo ehsas ki daulat
kisi bhi baat ko main darguzar hone nahin deta
hamesha is ada se wo meri imdad karta hai
zara bhi meri ghairat ko KHabar hone nahin deta
koi mausam koi rut ho tasawwur us ke chehre ka
kisi jalwe ko mahbub-e-nazar hone nahin deta
tu mujh se us ki yaadon ka asasa chhin le yarab
ye meri KHwahishon ko muKHtasar hone nahin deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.