zamane se bichhaDte ja rahe hain
zamāne se bichhaḌte jā rahe haiñ
ham aapas meñ jo laḌte jā rahe haiñ
mohabbat kī bahāreñ kho ga.ī haiñ
chaman dil ke ujaḌte jā rahe haiñ
takabbur se zamīñ par gir paḌeñge
bulandī par jo chaḌhte jā rahe haiñ
ta.assub kī ugī hai fasl jab se
masā.il aur baḌhte jā rahe haiñ
fasādoñ kī havā thamne lagī hai
kabūtar le pakaḌte jā rahe haiñ
ḳhizāñ kā daur shāyad aa gayā hai
ye barg-o-gul jo jhaḌte jā rahe haiñ
purāne peḌ 'rahbar' āñdhiy.oñ meñ
zamīnoñ se ukhaḌte jā rahe haiñ
zamane se bichhaDte ja rahe hain
hum aapas mein jo laDte ja rahe hain
mohabbat ki bahaaren kho gai hain
chaman dil ke ujaDte ja rahe hain
takabbur se zamin par gir paDenge
bulandi par jo chaDhte ja rahe hain
tassub ki ugi hai fasl jab se
masail aur baDhte ja rahe hain
fasadon ki hawa thamne lagi hai
kabutar le pakaDte ja rahe hain
KHizan ka daur shayad aa gaya hai
ye barg-o-gul jo jhaDte ja rahe hain
purane peD 'rahbar' aandhiyon mein
zaminon se ukhaDte ja rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.