zamane se meri zinda-dili dekhi nahin jati
zamāne se mirī zinda-dilī dekhī nahīñ jaatī
ḳhushī ho dūsroñ kī to ḳhushī dekhī nahīñ jaatī
ilāhī nuur se raushan haiñ rāheñ us ke bandoñ kī
vo aisī raushnī hai jo kabhī dekhī nahīñ jaatī
mohabbat hī se is duniyā meñ saare kaam chalte haiñ
kisī se kyoñ kisī kī dostī dekhī nahīñ jaatī
gharoñ kī shān-o-shaukat to gharoñ kī raushnī se hai
magar jalte gharoñ kī raushnī dekhī nahīñ jaatī
agar izzat hī luT jaa.e to jiinā bojh lagtā hai
kisī ma.asūm kī be-hurmatī dekhī nahīñ jaatī
pilā dī mast āñkhoñ se bachī na mai jo miinā meñ
ki saaqī se mirī tishna-labī dekhī nahīñ jaatī
sambhālūñ hosh apne to sambhālūñ dil jigar kaise
tumhārī muskurātī be-ruḳhī dekhī nahīñ jaatī
tabī.at is qadar machlī ke tauba toḌ dī ham ne
kareñ kyā ham se sāvan kī jhaḌī dekhī nahīñ jaatī
ḳhushī ke jashn meñ sadme numāyāñ aise hote haiñ
kisī ġhamgīn chehre par hañsī dekhī nahīñ jaatī
zamane se meri zinda-dili dekhi nahin jati
KHushi ho dusron ki to KHushi dekhi nahin jati
ilahi nur se raushan hain rahen us ke bandon ki
wo aisi raushni hai jo kabhi dekhi nahin jati
mohabbat hi se is duniya mein sare kaam chalte hain
kisi se kyon kisi ki dosti dekhi nahin jati
gharon ki shan-o-shaukat to gharon ki raushni se hai
magar jalte gharon ki raushni dekhi nahin jati
agar izzat hi luT jae to jina bojh lagta hai
kisi masum ki be-hurmati dekhi nahin jati
pila di mast aankhon se bachi na mai jo mina mein
ki saqi se meri tishna-labi dekhi nahin jati
sambhaalun hosh apne to sambhaalun dil jigar kaise
tumhaari muskuraati be-ruKHi dekhi nahin jati
tabiat is qadar machli ke tauba toD di hum ne
karen kya hum se sawan ki jhaDi dekhi nahin jati
KHushi ke jashn mein sadme numayan aise hote hain
kisi ghamgin chehre par hansi dekhi nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.