zamane walon ke chehron pe kitne Dar nikle
zamāne vāloñ ke chehroñ pe kitne Dar nikle
falak kī chaah meñ jab bhī zamīñ ke par nikle
bhaTaknā chāhūñ bhī to duniyā muḳhtasar nikle
jidhar baḌhā.ūñ qadam terī rahguzar nikle
yashodhrā kī tarah niiñd meñ chhalī ga.ī to
maiñ chāhtī huuñ mire ḳhvāb se ye Dar nikle
kabhī ḳhayāl meñ socho vo raat kā chehra
ki jis ghaḌī vo duā kartī hai sahar nikle
ki jis pe chalte hue ḳhud se mil sakūñ maiñ 'sabā'
kahīñ se kaash koī aisī rahguzar nikle
paḌāv hotī huī manzileñ na thiiñ manzūr
so haar thak ke 'sabā' ham bhī apne ghar nikle
zamane walon ke chehron pe kitne Dar nikle
falak ki chah mein jab bhi zamin ke par nikle
bhaTakna chahun bhi to duniya muKHtasar nikle
jidhar baDhaun qadam teri rahguzar nikle
yashodhra ki tarah nind mein chhali gai to
main chahti hun mere KHwab se ye Dar nikle
kabhi KHayal mein socho wo raat ka chehra
ki jis ghaDi wo dua karti hai sahar nikle
ki jis pe chalte hue KHud se mil sakun main 'saba'
kahin se kash koi aisi rahguzar nikle
paDaw hoti hui manzilen na thin manzur
so haar thak ke 'saba' hum bhi apne ghar nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.