zamin aankhon ko mal rahi thi hawa ka koi nishan nahin tha
zamīn āñkhoñ ko mal rahī thī havā kā koī nishāñ nahīñ thā
tamām samteñ sulag rahī thiiñ magar kahīñ bhī dhuāñ nahīñ thā
charāġh kī thartharātī lau meñ har os-qatre meñ har kiran meñ
tumhārī āñkheñ kahāñ nahīñ thiiñ tumhārā chehra kahāñ nahīñ thā
dayār-e-hijrāñ kī vahshatoñ kā tilism TuuTā to maiñ ne jaanā
har ek dastak havāoñ meñ thī makīñ nahīñ the makāñ nahīñ thā
vo ek lamha thā sarḳhushī kā fusūñ thā daryāft ke safar kā
jo reg-e-jāñ meñ chamak rahā thā sitāra-e-āsmāñ nahīñ thā
vo kaisā mausam thā zard shāḳhoñ se sabz beleñ lipaT rahī thiiñ
vo sabz beleñ ki jin kī āñkhoñ meñ koī ḳhauf-e-ḳhizāñ nahīñ thā
yugoñ ke rath par savār gahrī ḳhamoshiyoñ ne batāyā mujh ko
ki tum se pahle bhī aur pahle bhī bas yaqīñ thā gumāñ nahīñ thā
usī zamīñ kī tahoñ meñ bahtā thā mīThe paanī kā ek chashma
sarāb-zādoñ kī tishnagī ko magar kuchh is kā gumāñ nahīñ thā
zamin aankhon ko mal rahi thi hawa ka koi nishan nahin tha
tamam samten sulag rahi thin magar kahin bhi dhuan nahin tha
charagh ki thartharaati lau mein har os-qatre mein har kiran mein
tumhaari aankhen kahan nahin thin tumhaara chehra kahan nahin tha
dayar-e-hijran ki wahshaton ka tilism TuTa to main ne jaana
har ek dastak hawaon mein thi makin nahin the makan nahin tha
wo ek lamha tha sarKHushi ka fusun tha daryaft ke safar ka
jo reg-e-jaan mein chamak raha tha sitara-e-asman nahin tha
wo kaisa mausam tha zard shaKHon se sabz belen lipaT rahi thin
wo sabz belen ki jin ki aankhon mein koi KHauf-e-KHizan nahin tha
yugon ke rath par sawar gahri KHamoshiyon ne bataya mujh ko
ki tum se pahle bhi aur pahle bhi bas yaqin tha guman nahin tha
usi zamin ki tahon mein bahta tha miThe pani ka ek chashma
sarab-zadon ki tishnagi ko magar kuchh is ka guman nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.