zamin chhini kabhi aasman chhin liya
zamīn chhīnī kabhī āsmān chhīn liyā
tumhāre shahr ne merā jahān chhīn liyā
ḳhizāñ kī dhuup kā kis se kare gila gulshan
ki bāġhbāñ ne hī jab sā.ebān chhīn liyā
rahā na kar mujhe sayyād shal haiñ ye baazū
tire qafas ne mirā āsmān chhīn liyā
shab-e-firāq ye kitnī tavīl hai yā-rab
ki bāñg-e-murġh se shauq-e-azān chhīn liyā
ye kis asīr-e-salāsil kī lab-kushā.ī ne
amīr-e-vaqt se zor-e-bayān chhīn liyā
jise makāñ meñ basāyā thā ham ne kal 'mohkam'
usī ne aaj hamārā makān chhīn liyā
zamin chhini kabhi aasman chhin liya
tumhaare shahr ne mera jahan chhin liya
KHizan ki dhup ka kis se kare gila gulshan
ki baghban ne hi jab saeban chhin liya
raha na kar mujhe sayyaad shal hain ye bazu
tere qafas ne mera aasman chhin liya
shab-e-firaq ye kitni tawil hai ya-rab
ki bang-e-murgh se shauq-e-azan chhin liya
ye kis asir-e-salasil ki lab-kushai ne
amir-e-waqt se zor-e-bayan chhin liya
jise makan mein basaya tha hum ne kal 'mohkam'
usi ne aaj hamara makan chhin liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.