zamin dega magar aasman mangega
zamīn degā magar āsmān māñgegā
mire vajūd se vo sā.ebān māñgegā
maiñ chand pal jo use thoḌā aasrā de duuñ
phir umr-bhar ke liye kul jahān māñgegā
vo jāntā hai nishāna achūk hai merā
vo mujh se TuuTī huī bhī kamān māñgegā
har ek gaam pe tū ne kiyā hai qatl mirā
tū kitnī daf.a mirī aur jaan māñgegā
tirī zabān meñ tujh ko javāb duuñ maiñ agar
hisāb mujh se mirā ḳhāndān māñgegā
maiñ jāntī huuñ sar-e-bazm aa.egā vo aur
mirā javāb usī darmiyān māñgegā
agar vo jaan bhī māñge ḳhushī ḳhushī de duuñ
magar vo kuchh bhī kahāñ be-zabān māñgegā
zamin dega magar aasman mangega
mere wajud se wo saeban mangega
main chand pal jo use thoDa aasra de dun
phir umr-bhar ke liye kul jahan mangega
wo jaanta hai nishana achuk hai mera
wo mujh se TuTi hui bhi kaman mangega
har ek gam pe tu ne kiya hai qatl mera
tu kitni dafa meri aur jaan mangega
teri zaban mein tujh ko jawab dun main agar
hisab mujh se mera KHandan mangega
main jaanti hun sar-e-bazm aaega wo aur
mera jawab usi darmiyan mangega
agar wo jaan bhi mange KHushi KHushi de dun
magar wo kuchh bhi kahan be-zaban mangega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.