zamin di hai to thoDa sa aasman bhi de
zamīn dī hai to thoḌā sā āsmān bhī de
mire ḳhudā mire hone kā kuchh gumān bhī de
banā ke but mujhe bīnā.ī kā 'azāb na de
ye hī 'azāb hai qismat to phir zabān bhī de
ye kā.enāt kā phailāv to bahut kam hai
jahāñ samā sake tanhā.ī vo makān bhī de
maiñ apne aap se kab tak kiyā karūñ bāteñ
mirī zabāñ ko kabhī koī tarjumān bhī de
falak ko chāñd-sitāre navāzne vaale
mujhe charāġh jalāne ko sā.ebān bhī de
zamin di hai to thoDa sa aasman bhi de
mere KHuda mere hone ka kuchh guman bhi de
bana ke but mujhe binai ka 'azab na de
ye hi 'azab hai qismat to phir zaban bhi de
ye kaenat ka phailaw to bahut kam hai
jahan sama sake tanhai wo makan bhi de
main apne aap se kab tak kiya karun baaten
meri zaban ko kabhi koi tarjuman bhi de
falak ko chand-sitare nawazne wale
mujhe charagh jalane ko saeban bhi de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.