zamin din-raat jal rahi hai
zamīn din-rāt jal rahī hai
tabhī to sho.ale ugal rahī hai
kalām karte haiñ log ḳhud se
bhaḌās dil kī nikal rahī hai
abhī se kyā faisla karūñ maiñ
abhī to duniyā badal rahī hai
qadam baḌhāne kā hai natīja
ki barf ab kuchh pighal rahī hai
vahāñ to mausam hai bārishoñ kā
nadī yahāñ kyuuñ ubal rahī hai
tum apnā shosha uThā.e rakkho
mirī tabī.at bahal rahī hai
jagī hai koī to aas mujh meñ
jo niiñd ḳhvāboñ meñ Dhal rahī hai
haTā jo malba to maiñ ne jaanā
abhī mirī saañs chal rahī hai
nafas nafas jī rahā huuñ 'rāhat'
gaḌhī gaḌhī maut Tal rahī hai
zamin din-raat jal rahi hai
tabhi to shoale ugal rahi hai
kalam karte hain log KHud se
bhaDas dil ki nikal rahi hai
abhi se kya faisla karun main
abhi to duniya badal rahi hai
qadam baDhane ka hai natija
ki barf ab kuchh pighal rahi hai
wahan to mausam hai barishon ka
nadi yahan kyun ubal rahi hai
tum apna shosha uThae rakkho
meri tabiat bahal rahi hai
jagi hai koi to aas mujh mein
jo nind KHwabon mein Dhal rahi hai
haTa jo malba to main ne jaana
abhi meri sans chal rahi hai
nafas nafas ji raha hun 'rahat'
gaDhi gaDhi maut Tal rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.