zamin-e-chashm mein boe the maine KHwab ke bij
zamīn-e-chashm meñ bo.e the maiñ ne ḳhvāb ke biij
magar uge to khulā vo the iztirāb ke biij
mujhe hī kaaT ke miTTī meñ gāḌnā hogā
ki kaun degā mirī jaañ tumheñ gulāb ke biij
zamīñ pe aise chamakte haiñ ret ke zarre
kisī ne jaise bikhere hoñ āftāb ke biij
vo merī ruuh meñ utrā to kab gumān bhī thā
dabā rahā hai mirī ruuh meñ azaab ke biij
tamām umr kaTī ik fareb meñ 'azmī'
bikher kar vo gayā duur tak sarāb ke biij
zamin-e-chashm mein boe the main ne KHwab ke bij
magar uge to khula wo the iztirab ke bij
mujhe hi kaT ke miTTi mein gaDna hoga
ki kaun dega meri jaan tumhein gulab ke bij
zamin pe aise chamakte hain ret ke zarre
kisi ne jaise bikhere hon aaftab ke bij
wo meri ruh mein utra to kab guman bhi tha
daba raha hai meri ruh mein azab ke bij
tamam umr kaTi ek fareb mein 'azmi'
bikher kar wo gaya dur tak sarab ke bij
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.