zamin-e-dil pe sabhi aasman chhoD gaya
zamīn-e-dil pe sabhī āsmān chhoḌ gayā
vo ik yaqīn thā lekin gumān chhoḌ gayā
na.ī zamīn nayā āsmān chhoḌ gayā
tirā vajūd mirī dāstān chhoḌ gayā
har ek saañs meñ kyoñ imtihān chhoḌ gayā
niDhāl jism meñ vo saḳht jaan chhoḌ gayā
na jaane kitne savāloñ ko de diyā mauqa
vo be-zabān thā lekin bayān chhoḌ gayā
gayā safar pe to phir lauT kar nahīñ aaya
vo apne paañv ke lekin nishān chhoḌ gayā
nayā irāda na.ī manziloñ ko paane meñ
purānī soch purānī takān chhoḌ gayā
'zahīn' dil thā jo pahle hī de diyā us ko
ab ik dimāġh bachā thā so dhyān chhoḌ gayā
zamin-e-dil pe sabhi aasman chhoD gaya
wo ek yaqin tha lekin guman chhoD gaya
nai zamin naya aasman chhoD gaya
tera wajud meri dastan chhoD gaya
har ek sans mein kyon imtihan chhoD gaya
niDhaal jism mein wo saKHt jaan chhoD gaya
na jaane kitne sawalon ko de diya mauqa
wo be-zaban tha lekin bayan chhoD gaya
gaya safar pe to phir lauT kar nahin aaya
wo apne panw ke lekin nishan chhoD gaya
naya irada nai manzilon ko pane mein
purani soch purani takan chhoD gaya
'zahin' dil tha jo pahle hi de diya us ko
ab ek dimagh bacha tha so dhyan chhoD gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.