zamin-e-dil pe tere nain naqsh ubhaarenge
zamīn-e-dil pe tire nain naqsh ubhāreñge
ki ghup añdheroñ meñ ham raushnī utāreñge
vo shaḳhs shīsha-badan hai so ehtiyātan ham
use chhueñge nahīñ duur se nihāreñge
ajiib hai na galā baiThne ke baa'd āḳhir
ye tai kiyā hai use ab nahīñ pukāreñge
ham āñsūoñ se tire pair dho.eñge aur phir
charāġh-e-dil se tirī aartī utāreñge
ise to qabr kī miTTī meñ vasl honā hai
so ham badan ko nahīñ ruuh ko sañvāreñge
maiñ un ko ḳhair kī jānib bulā rahā huuñ magar
ye shimr-zāde haiñ merā hī sar utāreñge
adālatoñ meñ jo raushan the munsifī ke charāġh
kise ḳhabar thī ki vo tīrgī se hāreñge
zamin-e-dil pe tere nain naqsh ubhaarenge
ki ghup andheron mein hum raushni utarenge
wo shaKHs shisha-badan hai so ehtiyatan hum
use chhuenge nahin dur se nihaarenge
ajib hai na gala baiThne ke ba'd aaKHir
ye tai kiya hai use ab nahin pukarenge
hum aansuon se tere pair dhoenge aur phir
charagh-e-dil se teri aarti utarenge
ise to qabr ki miTTi mein wasl hona hai
so hum badan ko nahin ruh ko sanwarenge
main un ko KHair ki jaanib bula raha hun magar
ye shimr-zade hain mera hi sar utarenge
adalaton mein jo raushan the munsifi ke charagh
kise KHabar thi ki wo tirgi se haarenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.