zamin farsh falak saeban likhte hain
zamīn farsh falak sā.ebān likhte haiñ
ham is jahān ko apnā makān likhte haiñ
hamāre ahd kī tārīḳh munfarid hogī
lahū se apne jise naujavān likhte haiñ
ye jhuuT hai ki haqīqat ye jabr hai ki ḳhulūs
jo bevafā haiñ unheñ mehrbān likhte haiñ
jo aane vaale zamānoñ se bā-ḳhabar kar de
jabīn-e-vaqt pe vo dāstān likhte haiñ
samundaroñ ke sitam kī kahāniyāñ 'jāmī'
darīda hote hue bādbān likhte haiñ
zamin farsh falak saeban likhte hain
hum is jahan ko apna makan likhte hain
hamare ahd ki tariKH munfarid hogi
lahu se apne jise naujawan likhte hain
ye jhuT hai ki haqiqat ye jabr hai ki KHulus
jo bewafa hain unhen mehrban likhte hain
jo aane wale zamanon se ba-KHabar kar de
jabin-e-waqt pe wo dastan likhte hain
samundaron ke sitam ki kahaniyan 'jami'
darida hote hue baadban likhte hain
- Book : Aiwan (Pg. 52)
- Author : Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem
- Publication : Nirali Duniya (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.