zamin hai wahm to ye aasman dhuan dhuan hai
zamīñ hai vahm to ye āsmāñ dhuāñ dhuāñ hai
makāñ ḳhayāl hai aur lā-makāñ dhuāñ dhuāñ hai
hai ḳhushbuoñ ko tire jism-o-jān se nisbat
agar nahīñ hai to har jism-o-jāñ dhuāñ dhuāñ hai
vahāñ jo hijr meñ poshāk-e-ā.ina hai ḳhaak
to ek shakl-e-barahna yahāñ dhuāñ dhuāñ hai
agar sadā-e-shab-e-be-karāñ nahīñ pur-shor
to ālam-e-saf-e-sayyārgāñ dhuāñ dhuāñ hai
ajiib ahd hai sab mash.aleñ haiñ rū-ba-zavāl
fasurda lau meñ chamaktā gumāñ dhuāñ dhuāñ hai
palaT bhī aa ki tire intizār meñ koī dukh
koī vajūd koī sham.a-dāñ dhuāñ dhuāñ hai
ajiib haiñ ye dil-o-dīda-o-nigāh-o-nafas
ye aag paanī havā sab dhuāñ dhuāñ dhuāñ hai
agar hai kār-e-hunar meñ bhī jabr-e-arz-e-hunar
to lāzmī hai ki haft āsmāñ dhuāñ dhuāñ hai
zamin hai wahm to ye aasman dhuan dhuan hai
makan KHayal hai aur la-makan dhuan dhuan hai
hai KHushbuon ko tere jism-o-jaan se nisbat
agar nahin hai to har jism-o-jaan dhuan dhuan hai
wahan jo hijr mein poshak-e-aina hai KHak
to ek shakl-e-barahna yahan dhuan dhuan hai
agar sada-e-shab-e-be-karan nahin pur-shor
to aalam-e-saf-e-sayyargan dhuan dhuan hai
ajib ahd hai sab mashalen hain ru-ba-zawal
fasurda lau mein chamakta guman dhuan dhuan hai
palaT bhi aa ki tere intizar mein koi dukh
koi wajud koi shama-dan dhuan dhuan hai
ajib hain ye dil-o-dida-o-nigah-o-nafas
ye aag pani hawa sab dhuan dhuan dhuan hai
agar hai kar-e-hunar mein bhi jabr-e-arz-e-hunar
to lazmi hai ki haft aasman dhuan dhuan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.