zamin jaise ki aatish-fishan ko sath liye
zamīñ jaise kī ātish-fishāñ ko saath liye
yuuñ jī rahā huuñ maiñ dard-e-nihāñ ko saath liye
huā shikār siyāsat kā ab ke mausam bhī
bahār aa.ī hai lekin ḳhizāñ ko saath liye
ruko to yuuñ ki Thahar jaa.e gardish-e-daurāñ
chalo to aise ki saare jahāñ ko saath liye
nafas nafas haiñ ujāle hazār karb liye
har ek raat hai ik dāstāñ ko saath liye
kise zamīñ ke masā.il kī fikr ho 'ḳhālid'
har ik nazar hai yahāñ āsmāñ ko saath liye
zamin jaise ki aatish-fishan ko sath liye
yun ji raha hun main dard-e-nihan ko sath liye
hua shikar siyasat ka ab ke mausam bhi
bahaar aai hai lekin KHizan ko sath liye
ruko to yun ki Thahar jae gardish-e-dauran
chalo to aise ki sare jahan ko sath liye
nafas nafas hain ujale hazar karb liye
har ek raat hai ek dastan ko sath liye
kise zamin ke masail ki fikr ho 'KHalid'
har ek nazar hai yahan aasman ko sath liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.