zamin ka dam nikalta ja raha hai
zamīñ kā dam nikaltā jā rahā hai
ḳhudā kā kaam chaltā jā rahā hai
ye kin hāthoñ meñ sūraj aa gayā hai
chhatoñ se din pighaltā jā rahā hai
parinde mumTiyoñ pe ro rahe haiñ
shajar har ghar se kaTtā jā rahā hai
ajab sā vahm dil pe jam gayā hai
badan saa.e se ghaTtā jā rahā hai
havā bhī sard hotī jā rahī hai
samundar bhī utartā jā rahā hai
jo sunte haiñ vo gum jaatā hai fauran
jo likhte haiñ vo miTtā jā rahā hai
zamin ka dam nikalta ja raha hai
KHuda ka kaam chalta ja raha hai
ye kin hathon mein suraj aa gaya hai
chhaton se din pighalta ja raha hai
parinde mumTiyon pe ro rahe hain
shajar har ghar se kaTta ja raha hai
ajab sa wahm dil pe jam gaya hai
badan sae se ghaTta ja raha hai
hawa bhi sard hoti ja rahi hai
samundar bhi utarta ja raha hai
jo sunte hain wo gum jata hai fauran
jo likhte hain wo miTta ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.