zamin ka husn kuchh aise baDha raha hun main
zamīñ kā husn kuchh aise baḌhā rahā huuñ maiñ
tirī pasand ke paude lagā rahā huuñ maiñ
ġhubār uḌne lagā hai ḳhizāñ ke siine par
qadam bahār kī jānib baḌhā rahā huuñ maiñ
purāne ghar ke parinde udaas baiThe haiñ
na.e makān kā naqsha banā rahā huuñ maiñ
phir ik savāl añdhere ne mujh se pūchhā hai
phir ik charāġh javāban jalā rahā huuñ maiñ
mire nasīb meñ nafrat kā lafz muddat se
vo likh rahā hai musalsal miTā rahā huuñ maiñ
sukūñ nahīñ hai mujhe ḳhvāb-gāh meñ 'rāshid'
charāġh le ke tirī samt aa rahā huuñ maiñ
zamin ka husn kuchh aise baDha raha hun main
teri pasand ke paude laga raha hun main
ghubar uDne laga hai KHizan ke sine par
qadam bahaar ki jaanib baDha raha hun main
purane ghar ke parinde udas baiThe hain
nae makan ka naqsha bana raha hun main
phir ek sawal andhere ne mujh se puchha hai
phir ek charagh jawaban jala raha hun main
mere nasib mein nafrat ka lafz muddat se
wo likh raha hai musalsal miTa raha hun main
sukun nahin hai mujhe KHwab-gah mein 'rashid'
charagh le ke teri samt aa raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.