zamin ka rang wahi aasman ka rang wahi
zamīñ kā rañg vahī āsmāñ kā rañg vahī
vahī sabāhat-e-gul hai binā-e-sañg vahī
jo ḳhvāb ban nahīñ paayā thā merī āñkhoñ kā
Thahar gayā hai mire aa.ine pe zañg vahī
badan meñ aag lagāte hue duā ke haath
lahū meñ phuul khilātī huī umañg vahī
badalne vaalā hī ḳhud ko badal nahīñ paayā
vahī bahāne haiñ us ke haiñ uzr-e-lañg vahī
hazār sulh kā parcham buland kar dekho
magar zamīñ pe musallat rahegī jañg vahī
purānī vaz.a se aayā huuñ tere kūche meñ
badan maiñ zor vahī ruuh meñ tarañg vahī
kuchh aise Dhañg se tabdīl ho rahā hai vo
ki rah na jaa.e kisī marhale pe dañg vahī
vahī nagar vahī galiyāñ vahī makīñ 'sājid'
paḌī hai paañv meñ zanjīr-e-nām-o-nañg vahī
zamin ka rang wahi aasman ka rang wahi
wahi sabahat-e-gul hai bina-e-sang wahi
jo KHwab ban nahin paya tha meri aankhon ka
Thahar gaya hai mere aaine pe zang wahi
badan mein aag lagate hue dua ke hath
lahu mein phul khilati hui umang wahi
badalne wala hi KHud ko badal nahin paya
wahi bahane hain us ke hain uzr-e-lang wahi
hazar sulh ka parcham buland kar dekho
magar zamin pe musallat rahegi jang wahi
purani waza se aaya hun tere kuche mein
badan main zor wahi ruh mein tarang wahi
kuchh aise Dhang se tabdil ho raha hai wo
ki rah na jae kisi marhale pe dang wahi
wahi nagar wahi galiyan wahi makin 'sajid'
paDi hai panw mein zanjir-e-nam-o-nang wahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.