zamin kaisi thi kaisa aasman tha
zamīñ kaisī thī kaisā āsmāñ thā
nahīñ ma.alūm mujh ko maiñ kahāñ thā
nishāñ manzil kā koī kaise DhūñDe
ki tā-hadd-e-nazar phailā dhuāñ thā
vo mausam lauT kar āye.gā ik din
abhī tak mere dil meñ ye gumāñ thā
bhaḌak uThtā thā kyā rah rah ke jaane
ki merā dil to ik ātish-fishāñ thā
achānak bhuul kar pahuñchā jahāñ maiñ
vo sach-much mere sapnoñ kā jahāñ thā
adālat kyā mujhe insāf detī
ki jhūTā jab gavāhoñ kā bayāñ thā
hasīñ thī 'rāj' duniyā kī har ik shai
ki jab tak dil kā har jazba javāñ thā
zamin kaisi thi kaisa aasman tha
nahin malum mujh ko main kahan tha
nishan manzil ka koi kaise DhunDe
ki ta-hadd-e-nazar phaila dhuan tha
wo mausam lauT kar aayega ek din
abhi tak mere dil mein ye guman tha
bhaDak uThta tha kya rah rah ke jaane
ki mera dil to ek aatish-fishan tha
achanak bhul kar pahuncha jahan main
wo sach-much mere sapnon ka jahan tha
adalat kya mujhe insaf deti
ki jhuTa jab gawahon ka bayan tha
hasin thi 'raj' duniya ki har ek shai
ki jab tak dil ka har jazba jawan tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.