zamin kam hai yahan aasman thoDa hai
zamīn kam hai yahāñ āsmān thoḌā hai
tavaqquāt se terā jahān thoḌā hai
bas ik hamāre hī sar par hai us kā dast-e-sitam
har ek shaḳhs pe vo mehrbān thoḌā hai
kuchh aur log bhī haiñ mere ḳhair-ḳhvāhoñ meñ
faqat tujhī se ye dil bad-gumān thoḌā hai
lagā.e rakkhā hai bas maiñ ne yūñhī jī varna
tirā jahāñ mire shāyān-e-shān thoḌā hai
hai mere mansab-o-jāh-o-jalāl par bhī nazar
mirī taraf hī qabīle kā dhyān thoḌā hai
zarā sā hausla rakhne kī baat hai 'nāmī'
ye koh-e-ġham hai koī āsmān thoḌā hai
zamin kam hai yahan aasman thoDa hai
tawaqquat se tera jahan thoDa hai
bas ek hamare hi sar par hai us ka dast-e-sitam
har ek shaKHs pe wo mehrban thoDa hai
kuchh aur log bhi hain mere KHair-KHwahon mein
faqat tujhi se ye dil bad-guman thoDa hai
lagae rakkha hai bas main ne yunhi ji warna
tera jahan mere shayan-e-shan thoDa hai
hai mere mansab-o-jah-o-jalal par bhi nazar
meri taraf hi qabile ka dhyan thoDa hai
zara sa hausla rakhne ki baat hai 'nami'
ye koh-e-gham hai koi aasman thoDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.