Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zamin ke qibla-numaon ko pichhli martaba aazma liya tha

Hamza Yaqub

zamin ke qibla-numaon ko pichhli martaba aazma liya tha

Hamza Yaqub

MORE BYHamza Yaqub

    zamīñ ke qibla-numāoñ ko pichhlī martaba aazmā liyā thā

    isī liye is safar meñ qutbī sitāre se mashvara liyā thā

    hamārī duniyā meñ jitnī chīzeñ thiiñ sab hai.at badal ga.ī thī

    ḳhizāñ rut meñ kisī ne shāyad bahār giit liyā thā

    tumhī batāo khare ko khoTe se kis tarīqe alag kiyā jaa.e

    yahāñ ke logoñ ne to cliche shakl meñ falsafa liyā thā

    maiñ jāntā huuñ ki us ke hoñToñ pe kyā hai aur us ke dil meñ kyā hai

    ki maiñ ne aslī mutūn paḌhne ke baad tarjuma liyā thā

    tumhāre kahne pe apne chehre se us ne zulfeñ haTā to thiiñ

    magar batāo ki bheñT meñ us charāġh ne tum se kyā liyā thā

    maiñ hañste hañste tumhārī āñkhoñ ke sāmne ḳhud-kushī karūñgā

    tumheñ pata to chale ki maiñ ne sukūn bhed liyā thā

    zamin ke qibla-numaon ko pichhli martaba aazma liya tha

    isi liye is safar mein qutbi sitare se mashwara liya tha

    hamari duniya mein jitni chizen thin sab ki haiat badal gai thi

    KHizan ki rut mein kisi ne shayad bahaar ka git ga liya tha

    tumhi batao khare ko khoTe se kis tariqe alag kiya jae

    yahan ke logon ne to cliche ki shakl mein falsafa liya tha

    main jaanta hun ki us ke honTon pe kya hai aur us ke dil mein kya hai

    ki main ne asli mutun paDhne ke baad hi tarjuma liya tha

    tumhaare kahne pe apne chehre se us ne zulfen haTa to li thin

    magar batao ki bhenT mein us charagh ne tum se kya liya tha

    main hanste hanste tumhaari aankhon ke samne KHud-kushi karunga

    tumhein pata to chale ki main ne sukun ka bhed pa liya tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now