zamin KHushk hai aasman so raha hai
zamīñ ḳhushk hai āsmāñ so rahā hai
ġham-e-zindagī hai jahāñ so rahā hai
na shab kī siyāhī na hai roz-e-raushan
zamīñ hai fasurda zamāñ so rahā hai
garajte haiñ bādal taḌaptī hai bijlī
machī dhuum aisī amaañ so rahā hai
chaman jalva-gar hai navā-sanj bulbul
baḌe lutf se mehrbāñ so rahā hai
chaman kī har ik shāḳh-e-nau muntazir hai
shuāoñ kā kyoñ kārvāñ so rahā hai
siyāhī ye kaisī jahāñ meñ hai phailī
ilāhī tū is dam kahāñ so rahā hai
halāvat na hai 'tashna' ab guftugū meñ
kahāñ tū mire jān-e-jāñ so rahā hai
zamin KHushk hai aasman so raha hai
gham-e-zindagi hai jahan so raha hai
na shab ki siyahi na hai roz-e-raushan
zamin hai fasurda zaman so raha hai
garajte hain baadal taDapti hai bijli
machi dhum aisi aman so raha hai
chaman jalwa-gar hai nawa-sanj bulbul
baDe lutf se mehrban so raha hai
chaman ki har ek shaKH-e-nau muntazir hai
shuaon ka kyon karwan so raha hai
siyahi ye kaisi jahan mein hai phaili
ilahi tu is dam kahan so raha hai
halawat na hai 'tashna' ab guftugu mein
kahan tu mere jaan-e-jaan so raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.