zamin ki baat na main aasman ki baat karun
zamīñ kī baat na maiñ āsmān kī baat karūñ
lagan hai dil meñ ki tasḳhīr-e-kā.enāt karūñ
fareb khānā to manzūr hai magar yārab
mirā mizāj nahīñ hai ki maiñ bhī ghaat karūñ
mujhe mile haiñ ajīb-o-ġharīb hamsā.e
na guftugū hī na tark-e-ta.alluqāt karūñ
phir is ke baad hī rāhat kī baat sochūñgā
maiñ pahle paar ta.assub ke jañgalāt karūñ
har ek lamha nayā zaḳhm de ke jaatā hai
bayān kaise maiñ 'betāb' karb-e-zāt karūñ
zamin ki baat na main aasman ki baat karun
lagan hai dil mein ki tasKHir-e-kaenat karun
fareb khana to manzur hai magar yarab
mera mizaj nahin hai ki main bhi ghat karun
mujhe mile hain ajib-o-gharib hamsae
na guftugu hi na tark-e-talluqat karun
phir is ke baad hi rahat ki baat sochunga
main pahle par tassub ke jangalat karun
har ek lamha naya zaKHm de ke jata hai
bayan kaise main 'betab' karb-e-zat karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.