zamin ki god mein rakkhe hue aflak ke KHitte
zamīñ kī god meñ rakkhe hue aflāk ke ḳhitte
sitāre chūmte haiñ sar-zamīn-e-pāk ke ḳhitte
koī tujh sā hasīñ duniyā-e-rañg-o-bū meñ kyā hogā
ai merī jaan ke TukḌe ai merī ḳhaak ke ḳhitte
tirī tābindagī se merī peshānī chamaktī hai
tire ḳhvāboñ se raushan haiñ mire idrāk ke ḳhitte
tire farsh-e-mohabbat par diloñ kā raqs jaarī hai
kahāñ tū aur kahāñ baaqī ḳhas-o-ḳhāshāk ke ḳhitte
ye merī fikr ke gauhar tirī miTTī kā tohfa haiñ
tire qurbān jā.ūñ ilm-o-istidrāk ke ḳhitte
zamin ki god mein rakkhe hue aflak ke KHitte
sitare chumte hain sar-zamin-e-pak ke KHitte
koi tujh sa hasin duniya-e-rang-o-bu mein kya hoga
ai meri jaan ke TukDe ai meri KHak ke KHitte
teri tabindagi se meri peshani chamakti hai
tere KHwabon se raushan hain mere idrak ke KHitte
tere farsh-e-mohabbat par dilon ka raqs jari hai
kahan tu aur kahan baqi KHas-o-KHashak ke KHitte
ye meri fikr ke gauhar teri miTTi ka tohfa hain
tere qurban jaun ilm-o-istidrak ke KHitte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.