zamin ki hirs mein main aasman ko chhoD aaya
zamīñ kī hirs meñ maiñ āsmāñ ko chhoḌ aayā
harīs-e-lā-makāñ dekho makāñ ko chhoḌ aayā
tumhāre vāste phūloñ ko alvidā' kah kar
bharī bahār meñ maiñ gulsitāñ ko chhoḌ aayā
ḳhizar ke ruup meñ rahzan the rahnumā mere
yahī sabab thā ki maiñ kārvāñ ko chhoḌ aayā
vo ik asīr-e-sitam-hā-e-rozgār huuñ maiñ
qafas ke vāste jo āshiyāñ ko chhoḌ aayā
kahāñ se uf kahāñ le aa.ī justujū terī
tirī talāsh meñ saare jahāñ ko chhoḌ aayā
zamin ki hirs mein main aasman ko chhoD aaya
haris-e-la-makan dekho makan ko chhoD aaya
tumhaare waste phulon ko alwida' kah kar
bhari bahaar mein main gulsitan ko chhoD aaya
KHizar ke rup mein rahzan the rahnuma mere
yahi sabab tha ki main karwan ko chhoD aaya
wo ek asir-e-sitam-ha-e-rozgar hun main
qafas ke waste jo aashiyan ko chhoD aaya
kahan se uf kahan le aai justuju teri
teri talash mein sare jahan ko chhoD aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.