zamin ki kokh se lage hain kan us pahaD par
zamīn kī kokh se lage haiñ kaan us pahāḌ par
ye kaun de rahā hai yuuñ azaan us pahāḌ par
chahak rahī haiñ bulbuleñ bhī ḳhāmushī ke peḌ par
uThā rahī haiñ sar pe āsmān us pahāḌ par
havā.eñ tāza-kār haiñ añdherā laal laal hai
diye kī laḌkhaḌātī hai zabān us pahāḌ par
na TūTeñ āftāb se na chhūTeñ intiḳhāb se
sunā rahī haiñ kirneñ dāstān us pahāḌ par
ridā-e-shām-e-ġham kī vo farokashī hai dīdanī
navā-e-sub.h kā hai pāsbān us pahāḌ par
ḳhamīda āsmāñ ḳhajista gaam lau bahār kī
sitāda choTiyoñ kā ik jahān us pahāḌ par
udhar hai buuñd buuñd sho.ala-rez āb-e-chashm kī
idhar nazar nazar lahūluhān us pahāḌ par
ḳhalish sitāroñ meñ hai kyā sharar sharar hai sar-fishāñ
bhaḌak rahā hai koī āshiyān us pahāḌ par
taḌap rahī hai yuuñ fazā shajar shajar hai mast-e-raqs
junūñ kā ho rahā hai imtihān us pahāḌ par
hayūlā dard-e-ishq kā supurd-e-ḳhāk ho na ho
taḌapne kā mujhe bhī hai gumān us pahāḌ par
qalam qalam na ho qalam se rang sūratoñ meñ bhar
karūñgā lafz lafz hirz-e-jān us pahāḌ par
zamin ki kokh se lage hain kan us pahaD par
ye kaun de raha hai yun azan us pahaD par
chahak rahi hain bulbulen bhi KHamushi ke peD par
uTha rahi hain sar pe aasman us pahaD par
hawaen taza-kar hain andhera lal lal hai
diye ki laDkhaDati hai zaban us pahaD par
na TuTen aaftab se na chhuTen intiKHab se
suna rahi hain kirnen dastan us pahaD par
rida-e-sham-e-gham ki wo farokashi hai didani
nawa-e-subh ka hai pasban us pahaD par
KHamida aasman KHajista gam lau bahaar ki
sitada choTiyon ka ek jahan us pahaD par
udhar hai bund bund shoala-rez aab-e-chashm ki
idhar nazar nazar lahuluhan us pahaD par
KHalish sitaron mein hai kya sharar sharar hai sar-fishan
bhaDak raha hai koi aashiyan us pahaD par
taDap rahi hai yun faza shajar shajar hai mast-e-raqs
junun ka ho raha hai imtihan us pahaD par
hayula dard-e-ishq ka supurd-e-KHak ho na ho
taDapne ka mujhe bhi hai guman us pahaD par
qalam qalam na ho qalam se rang suraton mein bhar
karunga lafz lafz hirz-e-jaan us pahaD par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.