zamin ki tah se KHazine tarash lata hun
zamīñ kī tah se ḳhazīne tarāsh laatā huuñ
sadī meñ jā ke mahīne tarāsh laatā huuñ
maiñ hijratoñ ko nayā rang sauñpne ke liye
safar se pahle madīne tarāsh laatā huuñ
maiñ jangaloñ se tahī-dast lauTtā hī nahīñ
vahāñ se apne safīne tarāsh laatā huuñ
buland-ḳhūī mujhe baiThne nahīñ detī
ḳhayāl-e-jānāñ meñ ziine tarāsh laatā huuñ
havā-e-sard kī bāñhoñ meñ bāñheñ Daale hue
maiñ gul-ruḳhāñ se pasīne tarāsh laatā huuñ
sukūt-e-talḳh-e-shab-o-roz ke muqābil meñ
zabāñ-darāz kamīne tarāsh laatā huuñ
maiñ kohkan kī rivāyat kā paas rakhte hue
uThā ke tesha nagīne tarāsh laatā huuñ
zamin ki tah se KHazine tarash lata hun
sadi mein ja ke mahine tarash lata hun
main hijraton ko naya rang saunpne ke liye
safar se pahle madine tarash lata hun
main jangalon se tahi-dast lauTta hi nahin
wahan se apne safine tarash lata hun
buland-KHui mujhe baiThne nahin deti
KHayal-e-jaanan mein zine tarash lata hun
hawa-e-sard ki banhon mein banhen Dale hue
main gul-ruKHan se pasine tarash lata hun
sukut-e-talKH-e-shab-o-roz ke muqabil mein
zaban-daraaz kamine tarash lata hun
main kohkan ki riwayat ka pas rakhte hue
uTha ke tesha nagine tarash lata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.