zamin ko aasman karne ki koshish
zamīñ ko āsmāñ karne kī koshish
yahī hai be-vajah marne kī koshish
batā.ūñ tum ko matlab ḳhud-kushī kā
kaThin hālāt se Darne kī koshish
bahut kī dāman-e-hastī meñ ham ne
hasīñ rangīniyāñ bharne kī koshish
na karnā bhuul kar bhī zindagī meñ
kisī pe tohmateñ dharne kī koshish
kabhī kī hai jahāñ meñ 'soniyā' jī
kisī kī mushkileñ harne kī koshish
zamin ko aasman karne ki koshish
yahi hai be-wajah marne ki koshish
bataun tum ko matlab KHud-kushi ka
kaThin haalat se Darne ki koshish
bahut ki daman-e-hasti mein hum ne
hasin ranginiyan bharne ki koshish
na karna bhul kar bhi zindagi mein
kisi pe tohmaten dharne ki koshish
kabhi ki hai jahan mein 'soniya' ji
kisi ki mushkilen harne ki koshish
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.