zamin ko aasman likkha gaya hai
zamīñ ko āsmāñ likkhā gayā hai
yaqīnoñ ko gumāñ likkhā gayā hai
jo kahnā thā kabhī muñh se na niklā
jo likhnā thā kahāñ likkhā gayā hai
udāsī kā qasīda is baras bhī
sar-e-dīvār-e-jāñ likkhā gayā hai
charāġhoñ ko havāoñ kā payambar
ḳhamoshī ko zabāñ likkhā gayā hai
mire lafzoñ se itnī barhamī kyuuñ
bahut kuchh rā.egāñ likkhā gayā hai
zamin ko aasman likkha gaya hai
yaqinon ko guman likkha gaya hai
jo kahna tha kabhi munh se na nikla
jo likhna tha kahan likkha gaya hai
udasi ka qasida is baras bhi
sar-e-diwar-e-jaan likkha gaya hai
charaghon ko hawaon ka payambar
KHamoshi ko zaban likkha gaya hai
mere lafzon se itni barhami kyun
bahut kuchh raegan likkha gaya hai
- Book : Kulliyat-e-Asad Badayuni (Pg. 446)
- Author : Asad Badayuni
- Publication : National Council for Promotion of Urdu language-NCPUL (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.