zamin ko nap chuka aasman baqi hai
zamīñ ko naap chukā āsmān baaqī hai
abhī parinde ke andar uḌaan baaqī hai
badhā.ī tum ko ki pahuñche to is bulandī par
magar ye dhyān bhī rakhnā Dhalān baaqī hai
maiñ apnī niiñd kī qisteñ chukā.ūñgā kab tak
tumhārī yaad kā kitnā lagān baaqī hai
maiñ ek mom kā but huuñ tū dhuup kā chehrā
bachegī kis kī anā imtihān baaqī hai
mujhe yaqīn hai ho jā.ūñgā barī ik din
mire bachāv meñ us kā bayān baaqī hai
ye baat kah na de sailāb se koī jā kar
tamām-shahr meñ merā makān baaqī hai
zamin ko nap chuka aasman baqi hai
abhi parinde ke andar uDan baqi hai
badhai tum ko ki pahunche to is bulandi par
magar ye dhyan bhi rakhna Dhalan baqi hai
main apni nind ki qisten chukaunga kab tak
tumhaari yaad ka kitna lagan baqi hai
main ek mom ka but hun tu dhup ka chehra
bachegi kis ki ana imtihan baqi hai
mujhe yaqin hai ho jaunga bari ek din
mere bachaw mein us ka bayan baqi hai
ye baat kah na de sailab se koi ja kar
tamam-shahr mein mera makan baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.