zamin ko phul faza ko ghaTaen deta hai
zamīn ko phuul fazā ko ghaTā.eñ detā hai
mujhe falak se vo ab tak sadā.eñ detā hai
vahī navā-gar-e-ālam ḳhudā-e-saut-o-sadā
vahī havā ko faqat saa.eñ saa.eñ detā hai
vahī kahīñ gul-e-naġhma kahīñ gul-e-nauha
vahī ġhamoñ ko saroñ kī qabā.eñ detā hai
vo koh-sār-e-tahayyur vo āb-shār-e-nidā
ḳhamoshiyoñ ko bhī kyā kyā nidā.eñ detā hai
koī to ro.e lipaT kar javān lāshoñ se
isī liye to vo beToñ ko maa.eñ detā hai
zamin ko phul faza ko ghaTaen deta hai
mujhe falak se wo ab tak sadaen deta hai
wahi nawa-gar-e-alam KHuda-e-saut-o-sada
wahi hawa ko faqat saen saen deta hai
wahi kahin gul-e-naghma kahin gul-e-nauha
wahi ghamon ko saron ki qabaen deta hai
wo koh-sar-e-tahayyur wo aab-shaar-e-nida
KHamoshiyon ko bhi kya kya nidaen deta hai
koi to roe lipaT kar jawan lashon se
isi liye to wo beTon ko maen deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.