zamin logon se Dar gai hai
zamīn logoñ se Dar ga.ī hai
samundaroñ meñ utar ga.ī hai
ḳhamoshiyoñ meñ sadā gajar kī
ḳhayāl ke par katar ga.ī hai
khaḌe haiñ be-barg sar jhukā.e
havā daraḳhtoñ ko char ga.ī hai
hameñ to niiñd aa.egī na lekin
ye raat bhī to Thahar ga.ī hai
kahāñ bhaTakte phiroge 'alvī'
saḌak se pūchho kidhar ga.ī hai
zamin logon se Dar gai hai
samundaron mein utar gai hai
KHamoshiyon mein sada gajar ki
KHayal ke par katar gai hai
khaDe hain be-barg sar jhukae
hawa daraKHton ko char gai hai
hamein to nind aaegi na lekin
ye raat bhi to Thahar gai hai
kahan bhaTakte phiroge 'alwi'
saDak se puchho kidhar gai hai
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 38)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.