zamin meri thi aur aasman mera tha
zamīn merī thī aur āsmān merā thā
ye kal kī baat hai saarā jahān merā thā
jahāñ se raah nikālī hai aaj logoñ ne
isī saḌak ke kināre makān merā thā
maiñ aaj saa.e kī hasrat liye bhaTaktā huuñ
bulandiyoñ pe kabhī sā.ebān merā thā
dahaktī ret hai rāhoñ meñ aaj to kyā hai
qadam qadam kabhī jannat-nishān merā thā
milā jo nutq use baT gayā hazāroñ meñ
vo jab talak bhī rahā be-zabān merā thā
maiñ chehrā chehrā use DhūñDhtā rahā lekin
vo sāmne thā ajab imtihān merā thā
jahāñ meñ aaj huuñ maqtūl-e-be-gunāh 'nazīr'
har ek shaḳhs vahāñ pāsbān merā thā
zamin meri thi aur aasman mera tha
ye kal ki baat hai sara jahan mera tha
jahan se rah nikali hai aaj logon ne
isi saDak ke kinare makan mera tha
main aaj sae ki hasrat liye bhaTakta hun
bulandiyon pe kabhi saeban mera tha
dahakti ret hai rahon mein aaj to kya hai
qadam qadam kabhi jannat-nishan mera tha
mila jo nutq use baT gaya hazaron mein
wo jab talak bhi raha be-zaban mera tha
main chehra chehra use DhunDhta raha lekin
wo samne tha ajab imtihan mera tha
jahan mein aaj hun maqtul-e-be-gunah 'nazir'
har ek shaKHs wahan pasban mera tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.