zamin nadiyan falak sagar sitare sath rahte hain
zamīñ nadiyāñ falak sāgar sitāre saath rahte haiñ
kisī ke hijr ke maare ye saare saath rahte haiñ
dar-o-dīvār se ab minnat-e-hijrat nahīñ karnā
nazar ke juz bhī nazroñ meñ nazāre saath rahte haiñ
yahāñ aanā to koī dūsrī sūrat nahīñ laanā
tumhāre rāzdāñ bhī kuchh hamāre saath rahte haiñ
falak ke ba.ad hai kuchh na zamīñ se peshtar kuchh hai
ḳhudāyā phir kahāñ tere dulāre saath rahte haiñ
phir us ke ba.ad ruk jaate haiñ ye be-laus donoñ gaam
samundar tak hī nadiyoñ ke kināre saath rahte haiñ
koī bhī ġham guzar jaa.e na dil ko chhū ke is Dar se
tere ġham-ḳhvār bin tere pukāre saath rahte haiñ
jahāñ ke shauq meñ jis ghar ko jangal kah diyā tum ne
usī ghar meñ jahāñ ke isti.āre saath rahte haiñ
zamin nadiyan falak sagar sitare sath rahte hain
kisi ke hijr ke mare ye sare sath rahte hain
dar-o-diwar se ab minnat-e-hijrat nahin karna
nazar ke juz bhi nazron mein nazare sath rahte hain
yahan aana to koi dusri surat nahin lana
tumhaare raazdan bhi kuchh hamare sath rahte hain
falak ke baad hai kuchh na zamin se peshtar kuchh hai
KHudaya phir kahan tere dulare sath rahte hain
phir us ke baad ruk jate hain ye be-laus donon gam
samundar tak hi nadiyon ke kinare sath rahte hain
koi bhi gham guzar jae na dil ko chhu ke is Dar se
tere gham-KHwar bin tere pukare sath rahte hain
jahan ke shauq mein jis ghar ko jangal kah diya tum ne
usi ghar mein jahan ke istiare sath rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.