zamin ne kar diya is tarah raegan mujhko
zamīñ ne kar diyā is tarah rā.egāñ mujh ko
nazar na aayā kabhī dard aur dhuāñ mujh ko
talāsh kartā hai ik dūsrā jahāñ mujh ko
adhūrā lagtā hai ye jaan kā ziyāñ mujh ko
bichhe hue haiñ tasalsul se jalte bujhte charāġh
hujūm-e-lāla-o-gul le gayā kahāñ mujh ko
bhaTak rahe haiñ nazar meñ nuqūsh-e-gard-o-bād
jagā ke chhoḌ ga.e pā-e-raftagāñ mujh ko
ḳhud apnī lauh-e-tamannā pe khil ke dekhūñgā
kisī ke jabr ne likkhā thā rā.egāñ mujh ko
ye kis ke izn-o-razā se bahak rahe haiñ badan
fareb-rañg na de paayā ye jahāñ mujh ko
sivā-e-huzn-o-hazīmat jagah nahīñ dil meñ
agar vo pher bhī de lashkar-o-nishāñ mujh ko
kisī ke bas meñ nahīñ hai kushād-e-qalb-o-nigāh
milā thā apnī hī qismat kā sā.ebāñ mujh ko
haTe ye ġhāza-e-shab-rañg to use dekhūñ
pasand hī nahīñ ā.īna darmiyāñ mujh ko
tamām bār-e-alam daf.atan girā sar se
ye rāste meñ milā kaun nā-gahāñ mujh ko
zamin ne kar diya is tarah raegan mujh ko
nazar na aaya kabhi dard aur dhuan mujh ko
talash karta hai ek dusra jahan mujh ko
adhura lagta hai ye jaan ka ziyan mujh ko
bichhe hue hain tasalsul se jalte bujhte charagh
hujum-e-lala-o-gul le gaya kahan mujh ko
bhaTak rahe hain nazar mein nuqush-e-gard-o-baad
jaga ke chhoD gae pa-e-raftagan mujh ko
KHud apni lauh-e-tamanna pe khil ke dekhunga
kisi ke jabr ne likkha tha raegan mujh ko
ye kis ke izn-o-raza se bahak rahe hain badan
fareb-rang na de paya ye jahan mujh ko
siwa-e-huzn-o-hazimat jagah nahin dil mein
agar wo pher bhi de lashkar-o-nishan mujh ko
kisi ke bas mein nahin hai kushad-e-qalb-o-nigah
mila tha apni hi qismat ka saeban mujh ko
haTe ye ghaza-e-shab-rang to use dekhun
pasand hi nahin aaina darmiyan mujh ko
tamam bar-e-alam dafatan gira sar se
ye raste mein mila kaun na-gahan mujh ko
- Book : Imkaan-e-roz-o-shab (Pg. 95)
- Author : Syed Abul Hasnat Haqqi
- Publication : Educational Publishing House (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.