zamin ne un ko sambhaala jo aasman se gire
zamīñ ne un ko sambhālā jo āsmāñ se gire
kahāñ hai un kā sahārā jo ḳhāk-dāñ se gire
jo mutma.in haiñ bulandī pe naḳhl-e-ḳhurmā kī
us āsmān ko dekheñ kabhī jahāñ se gire
ab us ko dekh ke hī dil ko ḳhauf aatā hai
buland-bām the ham kis qadar kahāñ se gire
shikasta sañg baḌe āstāñ ke vāris haiñ
ki thā maqām-e-mua.allā ye but jahāñ se gire
jinheñ nasīb ne dī eqtidār kī masnad
unheñ hai zo.am the nā-ahl jo yahāñ se gire
zamin ne un ko sambhaala jo aasman se gire
kahan hai un ka sahaara jo KHak-dan se gire
jo mutmain hain bulandi pe naKHl-e-KHurma ki
us aasman ko dekhen kabhi jahan se gire
ab us ko dekh ke hi dil ko KHauf aata hai
buland-baam the hum kis qadar kahan se gire
shikasta sang baDe aastan ke waris hain
ki tha maqam-e-mualla ye but jahan se gire
jinhen nasib ne di eqtidar ki masnad
unhen hai zoam the na-ahl jo yahan se gire
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.