zamin-o-asman ki sari parten chiKH uThti hain
zamīn-o-āsmāñ kī saarī parteñ chīḳh uThtī haiñ
vo vāhid lam-yazal hai sab dalīleñ chīḳh uThtī haiñ
kahānī meñ mirī pinhāñ ajab sā karb hai ġham hai
qalam ḳhāmosh ho jaa.e to satreñ chīḳh uThtī haiñ
guzārūñ kis tarah lamhe ab is shahr-e-ḳhamoshāñ meñ
zabūñ-hālī pe ab merī fasīleñ chīḳh uThtī haiñ
radīf-o-qāfiya kī in dinoñ auqāt hī kyā hai
ġhalat hāthoñ meñ paḌ jaa.eñ to bahreñ chīḳh uThtī haiñ
talātum hai ajab sā mere andar āj-kal 'māhir'
bhañvar ḳhāmosh hotā hai to lahreñ chīḳh uThtī haiñ
zamin-o-asman ki sari parten chiKH uThti hain
wo wahid lam-yazal hai sab dalilen chiKH uThti hain
kahani mein meri pinhan ajab sa karb hai gham hai
qalam KHamosh ho jae to satren chiKH uThti hain
guzarun kis tarah lamhe ab is shahr-e-KHamoshan mein
zabun-haali pe ab meri fasilen chiKH uThti hain
radif-o-qafiya ki in dinon auqat hi kya hai
ghalat hathon mein paD jaen to bahren chiKH uThti hain
talatum hai ajab sa mere andar aaj-kal 'mahir'
bhanwar KHamosh hota hai to lahren chiKH uThti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.