zamin-o-asman se aashna hun
zamīn-o-āsmāñ se āshnā huuñ
magar ḳhud se maiñ begāna rahā huuñ
maiñ aayā kis liye thā aur kiyā kyā
ye tanhā.ī meñ aksar sochtā huuñ
mizāj-e-ġham se tum vāqif nahīñ ho
maiñ shahr-e-ġham kā shahzāda rahā huuñ
ḳhalā meñ har taraf merī sadā thī
magar aisā bhī hai ab be-sadā huuñ
hazāroñ ārzūeñ saath apne
akelā ho ke bhī ik qāfila huuñ
muqābil meñ hazāroñ hādse haiñ
mujhe dekho maiñ phir bhī hañs rahā huuñ
zamin-o-asman se aashna hun
magar KHud se main begana raha hun
main aaya kis liye tha aur kiya kya
ye tanhai mein aksar sochta hun
mizaj-e-gham se tum waqif nahin ho
main shahr-e-gham ka shahzada raha hun
KHala mein har taraf meri sada thi
magar aisa bhi hai ab be-sada hun
hazaron aarzuen sath apne
akela ho ke bhi ek qafila hun
muqabil mein hazaron hadse hain
mujhe dekho main phir bhi hans raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.