zamin par hi rahe aasman ke hote hue
zamīn par hī rahe āsmāñ ke hote hue
kahīñ na ghar se ga.e kārvāñ ke hote hue
maiñ kis kā naam na luuñ aur naam luuñ kis kā
hazāroñ phuul khile the ḳhizāñ ke hote hue
badan ki jaise havāoñ kī zad meñ koī charāġh
ye apnā haal thā ik mehrbāñ ke hote hue
hameñ ḳhabar hai koī ham-safar na thā phir bhī
yaqīñ kī manzileñ tai kiiñ gumāñ ke hote hue
vo be-niyāz haiñ ham mustaqil kahīñ na ruke
kisī ke naqsh-e-qadam āstāñ ke hote hue
har ek raḳht-e-safar ko uThā.e phirtā thā
koī makīñ na kahīñ thā makāñ ke hote hue
ye sāneha bhī mire āñsuoñ pe guzrā hai
nigāh boltī thī tarjumāñ ke hote hue
hidāyatoñ kā hai mohtāj nāma-bar kī tarah
faqīh-e-shahr tilism-e-bayāñ ke hote hue
ajiib nuur se rishta thā nuur kā aḳhtar
ka.ī charāġh jale kahkashāñ ke hote hue
zamin par hi rahe aasman ke hote hue
kahin na ghar se gae karwan ke hote hue
main kis ka nam na lun aur nam lun kis ka
hazaron phul khile the KHizan ke hote hue
badan ki jaise hawaon ki zad mein koi charagh
ye apna haal tha ek mehrban ke hote hue
hamein KHabar hai koi ham-safar na tha phir bhi
yaqin ki manzilen tai kin guman ke hote hue
wo be-niyaz hain hum mustaqil kahin na ruke
kisi ke naqsh-e-qadam aastan ke hote hue
har ek raKHt-e-safar ko uThae phirta tha
koi makin na kahin tha makan ke hote hue
ye saneha bhi mere aansuon pe guzra hai
nigah bolti thi tarjuman ke hote hue
hidayaton ka hai mohtaj nama-bar ki tarah
faqih-e-shahr tilism-e-bayan ke hote hue
ajib nur se rishta tha nur ka aKHtar
kai charagh jale kahkashan ke hote hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.