zamin par moajiza karne ki sazish
zamīñ par mo.ajiza karne kī sāzish
butoñ ko devtā karne kī sāzish
hamārā chīḳhnā jismoñ ke andar
ḳhamoshī ko sadā karne kī sāzish
daraḳhtoñ par banānā naqsha dil ke
inheñ goyā harā karne kī sāzish
kushāda ik qafas hai āsmāñ bhī
ise kiije ḳhalā karne kī sāzish
hamīñ se manziloñ kā kaam lenā
hamīñ ko rāsta karne kī sāzish
ye har mausam parindoñ ko uḌānā
ye pinjroñ ko ḳhafā karne kī sāzish
tujhe mujh se tavaqqo.a hī nahīñ kuchh
mujhe ya.anī ḳhudā karne kī sāzish
zamin par moajiza karne ki sazish
buton ko dewta karne ki sazish
hamara chiKHna jismon ke andar
KHamoshi ko sada karne ki sazish
daraKHton par banana naqsha dil ke
inhen goya hara karne ki sazish
kushada ek qafas hai aasman bhi
ise kije KHala karne ki sazish
hamin se manzilon ka kaam lena
hamin ko rasta karne ki sazish
ye har mausam parindon ko uDana
ye pinjron ko KHafa karne ki sazish
tujhe mujh se tawaqqoa hi nahin kuchh
mujhe yani KHuda karne ki sazish
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.