zamin par nim-jaan yari paDi hai
zamīñ par nīm-jāñ yaarī paḌī hai
idhar ḳhanjar udhar aarī paḌī hai
mere hī sar pe haiñ ilzām saare
baḌī mahñgī vafā-dārī paḌī hai
'ajab sā ḳhauf phailā hai vatan meñ
havā ke haath chingārī paḌī hai
bichhaḌ kar ho gayā barbād vo bhī
hameñ bhī choT ye kaarī paḌī hai
samundar se koī rishta hai is kā
nadī kis vāste khārī paḌī hai
zamin par nim-jaan yari paDi hai
idhar KHanjar udhar aari paDi hai
mere hi sar pe hain ilzam sare
baDi mahngi wafa-dari paDi hai
'ajab sa KHauf phaila hai watan mein
hawa ke hath chingari paDi hai
bichhaD kar ho gaya barbaad wo bhi
hamein bhi choT ye kari paDi hai
samundar se koi rishta hai is ka
nadi kis waste khaari paDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.