zamin par raushni hi raushni hai
zamīñ par raushnī hī raushnī hai
ḳhalā meñ ik kiran gum ho ga.ī hai
maiñ tanhā jā rahā huuñ sū-e-manzil
ye parchhā.īñ kahāñ se aa rahī hai
ye shaam aur raushnī kī ye qatāreñ
udāsī aur gahrī ho ga.ī hai
urūj-e-māh hai aur maqbaroñ par
abad kī chāñdnī chaTkī huī hai
ubhār ai mauj-e-tūfāñ-ḳhez mujh ko
ye kashtī ret meñ Duubī huī hai
havā se hai kalī jumbāñ sar-e-shāḳh
ye kin hāthoñ meñ neze kī anī hai
girā hai shāḳh-e-gul se ek pata
kisī ne kyā mujhe āvāz dī hai
zamin par raushni hi raushni hai
KHala mein ek kiran gum ho gai hai
main tanha ja raha hun su-e-manzil
ye parchhain kahan se aa rahi hai
ye sham aur raushni ki ye qataren
udasi aur gahri ho gai hai
uruj-e-mah hai aur maqbaron par
abad ki chandni chaTki hui hai
ubhaar ai mauj-e-tufan-KHez mujh ko
ye kashti ret mein Dubi hui hai
hawa se hai kali jumban sar-e-shaKH
ye kin hathon mein neze ki ani hai
gira hai shaKH-e-gul se ek pata
kisi ne kya mujhe aawaz di hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.