zamin pe aag falak par dhuan dikhai diya
zamīñ pe aag falak par dhuāñ dikhā.ī diyā
mirā vajūd kahīñ darmiyāñ dikhā.ī diyā
har ek samt yaqīñ kī naqāb oḌhe hue
har ek paikar-e-vahm-o-gumāñ dikhā.ī diyā
siyāh chāñd sitāre siyāh sūraj thā
sunā hai us ko ajab ik samāñ dikhā.ī diyā
vo merā maiñ thā ki maiñ thā yā merā saaya thā
kal aa.ine meñ koī bad-gumāñ dikhā.ī diyā
adhūrī shakl adhūrī nazar adhūrā vajūd
ajiib shaḳhs mujhe kal vahāñ dikhā.ī diyā
zamin pe aag falak par dhuan dikhai diya
mera wajud kahin darmiyan dikhai diya
har ek samt yaqin ki naqab oDhe hue
har ek paikar-e-wahm-o-guman dikhai diya
siyah chand sitare siyah suraj tha
suna hai us ko ajab ek saman dikhai diya
wo mera main tha ki main tha ya mera saya tha
kal aaine mein koi bad-guman dikhai diya
adhuri shakl adhuri nazar adhura wajud
ajib shaKHs mujhe kal wahan dikhai diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.