zamin pe bojh bana main bhi zindagi ki tarah
zamīñ pe bojh banā maiñ bhī zindagī kī tarah
ḳhud apne shahr meñ phirtā huuñ ajnabī kī tarah
jhulastī dhuup meñ har samt bhāgte saa.e
na jaane baiTheñge kab mil ke aadmī kī tarah
mire chaman kā ‘ajab haal hai ki barsoñ se
sabā guloñ se bhī miltī hai ajnabī kī tarah
maiñ uTh to jā.ūñ magar terī rah-guzar ai dost
ujaḌ na jaa.e kahīñ merī zindagī kī tarah
ye aarzū hai rafīqo ki in havādis se
tumhāre dil meñ paḌe dard āgahī kī tarah
zamin pe bojh bana main bhi zindagi ki tarah
KHud apne shahr mein phirta hun ajnabi ki tarah
jhulasti dhup mein har samt bhagte sae
na jaane baiThenge kab mil ke aadmi ki tarah
mere chaman ka ‘ajab haal hai ki barson se
saba gulon se bhi milti hai ajnabi ki tarah
main uTh to jaun magar teri rah-guzar ai dost
ujaD na jae kahin meri zindagi ki tarah
ye aarzu hai rafiqo ki in hawadis se
tumhaare dil mein paDe dard aagahi ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.