zamin pe honge magar falak pe alam rahega
zamīñ pe hoñge magar falak pe alam rahegā
hamāre āñgan meñ panjatan kā karam rahegā
ḳhudā kī bāteñ kareñge vaa.iz par un ke dil meñ
qasam ḳhudā kī sukūñ kī ḳhātir sanam rahegā
nikal sakeñge jahāñ kī nazroñ se bach-bachā ke
tumhārā ġham apne ġham meñ jis darja zam rahegā
yazīdiyat kī to aal pā.egī lambī umreñ
husainī jo bhī hai shahr-e-kūfa meñ kam rahegā
koī bhī khānā ho achchhe bartan meñ pesh karnā
safed-poshī kā is adā se bharam rahegā
ham amn kī baat bhī kareñge magar hamārā
nishān voToñ meñ tiir talvār bam rahegā
tumhāre hone se ek had tak ḳhushī thī ham ko
tumhāre jaane se ek had tak hī ġham rahegā
jahāñ ke hālāt dekh kar lag rahā hai 'mūsā'
raheñge jab tak zamīn-zāde sitam rahegā
zamin pe honge magar falak pe alam rahega
hamare aangan mein panjatan ka karam rahega
KHuda ki baaten karenge waiz par un ke dil mein
qasam KHuda ki sukun ki KHatir sanam rahega
nikal sakenge jahan ki nazron se bach-bacha ke
tumhaara gham apne gham mein jis darja zam rahega
yazidiyat ki to aal paegi lambi umren
husaini jo bhi hai shahr-e-kufa mein kam rahega
koi bhi khana ho achchhe bartan mein pesh karna
safed-poshi ka is ada se bharam rahega
hum amn ki baat bhi karenge magar hamara
nishan woTon mein tir talwar bam rahega
tumhaare hone se ek had tak KHushi thi hum ko
tumhaare jaane se ek had tak hi gham rahega
jahan ke haalat dekh kar lag raha hai 'musa'
rahenge jab tak zamin-zade sitam rahega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.