zamin pe jab kabhi jalwe nazar ke dekhte hain
zamīñ pe jab kabhī jalve nazar ke dekhte haiñ
ham āsmān se aksar utar ke dekhte haiñ
balā kā husn hai us kī subuk adāoñ meñ
jo be-niyāz haiñ vo bhī Thahar ke dekhte haiñ
ye hausla hai hamārā ki bāl-o-par apne
uḌaan bharne se pahle katar ke dekhte haiñ
zarūr dil meñ koī ḳhvāhish-e-safar hogī
vo bār-bār hameñ kyoñ sañvar ke dekhte haiñ
unhī ko miltī hai har gaam pe na.ī manzil
tamām 'umr jo imkāñ safar ke dekhte haiñ
vo nā-tavāñ ho yā ġhāzī yā ahl-e-sarvat ho
tamām log tumheñ aah bhar ke dekhte haiñ
jise zamāna samajhtā hai pur-ḳhatar 'sāhil'
ham aisī raah se aksar guzar ke dekhte haiñ
zamin pe jab kabhi jalwe nazar ke dekhte hain
hum aasman se aksar utar ke dekhte hain
bala ka husn hai us ki subuk adaon mein
jo be-niyaz hain wo bhi Thahar ke dekhte hain
ye hausla hai hamara ki baal-o-par apne
uDan bharne se pahle katar ke dekhte hain
zarur dil mein koi KHwahish-e-safar hogi
wo bar-bar hamein kyon sanwar ke dekhte hain
unhi ko milti hai har gam pe nai manzil
tamam 'umr jo imkan safar ke dekhte hain
wo na-tawan ho ya ghazi ya ahl-e-sarwat ho
tamam log tumhein aah bhar ke dekhte hain
jise zamana samajhta hai pur-KHatar 'sahil'
hum aisi rah se aksar guzar ke dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.