zamin pe panw kahin sar pe aasman nahin
zamīñ pe paañv kahīñ sar pe āsmān nahīñ
vo sāneha hai ki jo qābil-e-bayān nahīñ
tum apne pīchhe surāġh apnā chhoḌ jāoge
ki tum se achchhī ye dhartī hai jo chaTān nahīñ
jazīre vaalo ho kyoñ apne haal pe shādāñ
fazā-e-bahr kā har lamha bā-amān nahīñ
us ek lams se ab tak sulag rahā huuñ maiñ
ki us badan sā koī aur sho.ala-dān nahīñ
fanā jo ho gayā auroñ ke vāste 'shahzād'
usī ke naam se mansūb dāstān nahīñ
zamin pe panw kahin sar pe aasman nahin
wo saneha hai ki jo qabil-e-bayan nahin
tum apne pichhe suragh apna chhoD jaoge
ki tum se achchhi ye dharti hai jo chaTan nahin
jazire walo ho kyon apne haal pe shadan
faza-e-bahr ka har lamha ba-aman nahin
us ek lams se ab tak sulag raha hun main
ki us badan sa koi aur shoala-dan nahin
fana jo ho gaya auron ke waste 'shahzad'
usi ke nam se mansub dastan nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.